Infotainment@Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Infotainment@Forum

A Place For Solutions, Entertainment and much more
 
HomeLatest imagesRegisterLog inSearch
Search
 
 

Display results as :
 
Rechercher Advanced Search
May 2024
MonTueWedThuFriSatSun
  12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031  
CalendarCalendar

 

 KAMAAL RAKHTE HAI

Go down 
AuthorMessage
Sahiba

Sahiba


Female
Number of posts : 37
Age : 35
Location : Islamabad
Registration date : 2009-01-24

KAMAAL RAKHTE HAI Empty
PostSubject: KAMAAL RAKHTE HAI   KAMAAL RAKHTE HAI I_icon_minitimeMon Mar 15, 2010 4:50 pm

Tere Gale Me Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hai,
Tujhe Manane Ka Kaisa Kamaal Rakhte Hai,

Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochne Ki Khatir Hum,
Bahut Se Kaam MuQaddar Pe Taal Rakhte Hai,

Kio Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte,
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhal Rakthe Hai,

Tumhare Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni,
Bikharte Sookhte Patte Sambhal Rakhte Hai,

Khushi Si Milti Hai Khudko Aziyatein De Kar,
So Jaan Bujh Ke Dilko Nidhaal Rakhte Hai,

Kabhi Kabhi Wo Mujhe Has Ke Dekh Lete Hai,
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayal Rakhte Hai,

Tumhare Hijar Me Ye Haal Hogaya Apna,
Kisika Khat Ho Usse Bhi Sambhal Rakhte Hai,

Khushi Mile To Tere Baad Khush Nahi Hote,
Hum Apni Aankh Me Har Dal Malaal Rakhte Hia,

Zamane Bhar Se Bacha Kar Wo Apni Panaah Mein,
Mere Wajood Ke Tukde Sambhal Rakhte Hai,

Kuch Is Liye Bhi To Behaal Ho Gaye Hum Log,
Tumhari Yaad Ka Behad Khayal Rakhte Hia...
Back to top Go down
 
KAMAAL RAKHTE HAI
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Infotainment@Forum :: Poetry :: Mefil-E-Sukhan-
Jump to: