Uske gham ko gham-e-hasti to mere dil na bana
zeest mushkil hai ise aur bhi mushkil na bana
tu bhi mehdood na ho mujhko bhi mehdood na kar
apne naqsh-e-kaf-e-paa ko meri manzil na bana
aur barh jayegi weeraani-e-dil jaan-e-jahan
meri khalwat -e-khamosh ko mehfil na bana
phir meri aas barha kar mujhe mayooos na kar
hasil-e-gham ko Khudara gham-e-hasil na bana
dil ke har khail men hota hai bohot jaan ka ziya
ishq ko ishq samjh mashghale dil na bana . . . . . ?