din guzar gayaa aitabaar mein
raat kaT ga_ii intazaar mein
vo mazaa kahaa.N vasl-e-yaar mein
lutf jo milaa intazaar mein
un kii ik nazar kaam kar ga_ii
hosh ab kahaa.N hoshiyaar mein
mere kaase me.n kaayenaat hai
mai.n huu.N aap ke iKhtiyaar mein
aa.Nkh to uThii phuul kii taraf
dil ulajh gayaa husn-e-Khaar mein
tum se kyaa kahe.n kitane Gam sahe
ham ne be-vafaa tere pyaar mein
fikr-e-aashiyaa.N har Khizaam kii
aashiyaa.N jalaa har bahaar mein
kis tarah ye Gam bhuul jaaye ham
vo judaa huaa is bahaar mein . . . . . ?